Skip to main content

Dil ki Baat



Ye ehsaas Mujhe achha lagata
Teri yaad mein griftaar rehna mujhe achha lagta hai
Din beet jata hai teri us paanch minute ki mulaqat ke intezaar mein
Tu naam leke jo bhi Bol de, baar baar un shabdo ko gungunan Mujhe achha lagta hai

Ashiq kaho, dewana kaho, pagal kaho, ziddi kaho 
Guzarish hai hamara naam le kar kaho; Zara Zor se kaho, 
Hamari dewanagi tumse kehlana Mujhe achha lagta hai
Baar baar un shabdo ko gungunana Mujhe achha lagta hai

Humne to socha tha ab na padenge pyaar mein; tere saath ek baar fir kho Jana Hume achha lagta hai,
Ek arse se khwaisho pe laga rakhi thi lagaam, ab tujhe Suraj ke rath mein ghoomane ka mann karta hai,
Chal chale door ek aisi duniya mein, jahan pyaar hi jeene ka sahara ho
Tere sang sach ho agar sapne, to sapno ko bulana humne achha lagta hai

Tu aankho mein dekh kar keh de jo baat, din bhar wohi baat gungunana hume achha lagta hai.

Comments

Popular posts from this blog

Ishq ek tarfa hai

Hume bhi hua unhe bhi hua hai Hume unse unhe kisi aur se hua hai Milte hain hum Aksar aur kaash kaash kiya karte hain Na meri dua wo sunti hai na unki dua wo sunta hai Chalte rehte hain hum saath mein Mujhe unpe unhe khud pe bharosa hai Tamannao mein managte rehte hai Sab kuch jo humne unko diya hai Bas itna hi nahi jante ki Ishq ek tarfa hai