Skip to main content

Humse pyaar nahi hota



Humse pyaar nahi hota
Koi hume galat samajh leta hai
Kisi ko hum galat maan lete hain
Subah se raat tak intezar karte hain
Par humse pyaar nahi hota

Kafi soochate hain khali baithe baithe 
Kai tarah ke badlaw bhi laate hain
Par humse pyaar nahi hota
Kabhi waqt zyada laga diya 
To kabhi jald baazi bhi ki
Kabhi Mann se nahi kiya
To kabhi Aashiqui bhi ki
Kabhi ishare kiye 
To Kabhi ikraar kiya
Kabhi bemann se 
To kabhi poori shiddat se pyaar kiya

Par humse pyaar nahi hota
Har intezaar ki intehaan bhi aati hai
Intehaan mein sunwai hoti hai
Hamara pyaar sunwai mein har jata hai
Mulaqat radd jo jati 
Khwaishe tod Di jati hain
Faisala sunaya jata 
Jao kisi aur se izehar karo

Fir se banao tammannae 
Fir se dhondho wo shant Kirane
Fir se koi ayega
Par humse pyaar nahi hota

Ab hum pyaar ko matlabi maanne lage hain
Ab hum ishq ke chakkar mein aane se ghabrane lage hain
Hona hoga to ek din ho jayega 
Ab hum Iss baat ko bhi nakarane lage hain

Majnu ko bada bhai aur Ranhjha ko guru mante hain
Par humse pyaar nahi hota
Kyun nahi banata koi inn adhoori bhawnao ka sanghralay 

Pata to chale ki sirf humse ya tumse bhi pyaar nahi hota 

Comments

Popular posts from this blog

Ishq ek tarfa hai

Hume bhi hua unhe bhi hua hai Hume unse unhe kisi aur se hua hai Milte hain hum Aksar aur kaash kaash kiya karte hain Na meri dua wo sunti hai na unki dua wo sunta hai Chalte rehte hain hum saath mein Mujhe unpe unhe khud pe bharosa hai Tamannao mein managte rehte hai Sab kuch jo humne unko diya hai Bas itna hi nahi jante ki Ishq ek tarfa hai