Skip to main content

Posts

Ishq ek tarfa hai

Hume bhi hua unhe bhi hua hai Hume unse unhe kisi aur se hua hai Milte hain hum Aksar aur kaash kaash kiya karte hain Na meri dua wo sunti hai na unki dua wo sunta hai Chalte rehte hain hum saath mein Mujhe unpe unhe khud pe bharosa hai Tamannao mein managte rehte hai Sab kuch jo humne unko diya hai Bas itna hi nahi jante ki Ishq ek tarfa hai
Recent posts

Fir se

Hum pad jayenge pyaar mein fir se  aur dikkate badh jayengi  Naadaniyan humse jo hongi  Wo fir hume samjhaengi  Mushkilo se rok rakha hai jo Dil ko tu Ye bata Baar baar milke dil ko kitna behlayenge 

Haqq

Aise hi hua nahi tha, tujh ko bhi to tha pata Ekdum se yun badal gaye, Humse hui thi kya khata Dekhata tha roz Sapna, Sapne mein tujhse mila Milne ki umeed jo thi, Sapne bhi the khushnuma  Haqiqat se main door rehta, ye bhi tujhko tha pata Kaise tune mera mauka mujhse se hi yun le liya  Kuch mulaqate to thi mere bhi Haq mein ye bata Kaise mit gayi wo Kashti ek pal mein yun bhala  Ek wo samay bhi guzar chuka, jab sunta tha sab jo tune kaha Har baat ke chaar matlab, sabko pura Karta raha Darta bhi tha raste mein, wo bhi zahir tujhko kiya Gum nahi ki tu na mili, par wo mulaqat meri thi  Wo bhi tu le kar chali gayi, boli marzi Teri thi Soch mein rakha bhi kya ab, phoolon mein bhi khushboo kahan Sune se is dil mein dastak bhi ab Sunti kahan Zindagi ke pal the achhe, muskurana firse sikha  Zindagi ka haath thame tujhko main firse milla  Dil mein kuch rakha na tha, fir se kyun dhua utha Thoda sa saath de kar, chal diy...

Zamana ban gayi

Yaaro mujhe maaf karo, Ye khel mere bass ka nahi Ho jati hai jab humko mohabbat to pyaar muskara ke kehta hai tu nahi Mere samne chale jate hain Sab auro ke saath Sach keh raha hun, pyaar mere bass ka nahi Intezaar intezaar intezaar intezaar Zamane se intezaar ki ghadiyan udhaar lete chale ja rahe the  Himmat tab tooti jab humpe muskura ke wo bhi zamana ban gayi Na muskarana kisi ashiq ki nigahon mein Na kaano mein koi Geet gungunana  Na jana uske saath kabhi sair pe Na hasna chup ke se purani batao pe Na karna wo jo kehta hai Na rukna uski aahat pe Na dekhna chup ke bhi Na bolna samne se Na dabana usse uske hi ehsaaso tale Na dena usse umeed ki chadi  Arre rooz todata hai wo khawabo ko Tumse uth kar jina bhi to padta hai

Dil Chalu Cheez Hai

Ab humne dil almari mein rakh choda hai Chabhi bhi chupa Di hai Ab koi khud jake kholega almari, to bhale humse mille Hum dil ki nomaaish, na karne wale. Khali bartan sa hona to ek baat hai, Halka Mann bhi badi pyaari cheez hai. Kya dhoondhate ho doosare ka Sahara,  Khud se pyaar karna bhi badi cheez hai. Chalo chalo, tehalte raho Yun khud mein hi toolana badi cheez hai Kya baithate ho yun khaawabo ke sahare  Nashe mein jhoomana badi cheez hai Koi khaawab na rakho, yaado mein na jagah do, Samay pe bhulana hi badi cheez hai. Dil ko na samjho na suno ek dafa tum, Chalo kat lo nikalo, yehi theek hai. Duniya hai gol, raste bhi gol Dil se Bach nikalna teedhi kheer hai Jaake purana jhaako, halat ko apni tako  Tumse na ho payega, ye taqdeer hai Wo chabhi chupa do, wo almari bhula do Jahan dil hai rakha wahin theek hai Wo Tera nahi hai, wo sunta nahi hai Uski baaton mein mat aana, wo chaalo cheez hai.