Ab humne dil almari mein rakh choda hai Chabhi bhi chupa Di hai Ab koi khud jake kholega almari, to bhale humse mille Hum dil ki nomaaish, na karne wale. Khali bartan sa hona to ek baat hai, Halka Mann bhi badi pyaari cheez hai. Kya dhoondhate ho doosare ka Sahara, Khud se pyaar karna bhi badi cheez hai. Chalo chalo, tehalte raho Yun khud mein hi toolana badi cheez hai Kya baithate ho yun khaawabo ke sahare Nashe mein jhoomana badi cheez hai Koi khaawab na rakho, yaado mein na jagah do, Samay pe bhulana hi badi cheez hai. Dil ko na samjho na suno ek dafa tum, Chalo kat lo nikalo, yehi theek hai. Duniya hai gol, raste bhi gol Dil se Bach nikalna teedhi kheer hai Jaake purana jhaako, halat ko apni tako Tumse na ho payega, ye taqdeer hai Wo chabhi chupa do, wo almari bhula do Jahan dil hai rakha wahin theek hai Wo Tera nahi hai, wo sunta nahi hai Uski baaton mein mat aana, wo chaalo cheez hai.