Ab humne dil almari mein rakh choda hai
Chabhi bhi chupa Di hai
Ab koi khud jake kholega almari, to bhale humse mille
Hum dil ki nomaaish, na karne wale.
Khali bartan sa hona to ek baat hai,
Halka Mann bhi badi pyaari cheez hai.
Kya dhoondhate ho doosare ka Sahara,
Khud se pyaar karna bhi badi cheez hai.
Chalo chalo, tehalte raho
Yun khud mein hi toolana badi cheez hai
Kya baithate ho yun khaawabo ke sahare
Nashe mein jhoomana badi cheez hai
Koi khaawab na rakho, yaado mein na jagah do,
Samay pe bhulana hi badi cheez hai.
Dil ko na samjho na suno ek dafa tum,
Chalo kat lo nikalo, yehi theek hai.
Duniya hai gol, raste bhi gol
Dil se Bach nikalna teedhi kheer hai
Jaake purana jhaako, halat ko apni tako
Tumse na ho payega, ye taqdeer hai
Wo chabhi chupa do, wo almari bhula do
Jahan dil hai rakha wahin theek hai
Wo Tera nahi hai, wo sunta nahi hai
Uski baaton mein mat aana, wo chaalo cheez hai.
Comments
Post a Comment